mujh ko be-khwabi ki tahni par sisakte dekhta rahta hai wo apni hi be-dardiyon ko yun mahakte dekhta rahta hai wo surat-e-mahtab rahta hai mere sar par safar ke sath sath mujh ko sahra ki udasi mein bhatakte rahta hai wo ped ki surat khada rahta hai meri mauj ki sarhad ke pas mere sar par dhup ke neze chamakte dekhta rahta hai wo raat thak kar aan girta hai mere jalte badan ki aanch par apne aansu mere galon par dhalakte dekhta rahta hai wo main wo bosida sa pairahan hun jo pahna gaya tha ek bar mujh ko mahrumi ki khunti par latakte dekhta rahta hai wo meri hi majburiyon ke zikr se 'nasik' rulata hai mujhe samne apne nae jugnu damakte dekhta rahta hai wo