jab aasman ne nanhe parindon ko par diye zalim hawa ne tir bhi ham-rah kar diye is gulsitan se fakhta parwaz kar gai mausam ne shakh-sar bhi kanton se bhar diye har shakhs ahd-e-jabr mein harf-e-dua hua honton ko hadsat ne kya kya hunar diye apni nigah ke aaine suraj ko saunp kar hum ne bhi kaenat ko aaina-gar diye phir aasman ke auj se shabnam ata hui phir meri pastiyon ne mujhe bahr-o-bar diye