raat aankhon mein katne walo shad raho aabaad raho bar-e-hijr uthane walo shad raho aabaad raho kachchi umr mein kal ke dukhon se aaj ulajhna thik nahin pahla sawan bhigne walo shad raho aabaad raho ab aae ho sare diye jab ek ek kar ke bujh bhi gae lekin laut ke aane walo shad raho aabaad raho khana-badoshi ek hunar hai rafta rafta aaega ranj-e-masafat khinchne walo shad raho aabaad raho ek dariche se do aankhen roz sadaen deti hain raat gae ghar lautne walo shad raho aabaad raho hijr-zadon par khud nahin khulta kis aalam mein rahte hain haal hamara puchhne walo shad raho aabaad raho