jab aasman zamin par utarne lagta hai to zindagi ka tasawwur bikharne lagta hai kured leta hun tere khayal se akasr teri wafa ka agar zakhm bharne lagta hai jise fareb mila ho wafaon ke badle wo shakhs apne hi sae se darne lagta hai main jab simatta hun haalat ki panahon mein mera wujud-e-shikasta bikharne lagta hai zamana kyun na meri rah ki rukawat ho mera junun bhi to had se guzarne lagta hai udan bharta hun jab bhi khalaon se aage na jaane kaun mere par katarne lagta hai qadam badhata hun 'salim' hayat ki jaanib to mere panw mein rasta thaharne lagta hai