jab apne gham ka fasana unhen sunate hain zamana hansta hai hum par wo muskuraate hain meri nigah se jab wo nazar milate hain dil-e-gharib ki duniya ujad jate hain hamari aankhon ne har inqalab dekha hai zamana wale hamein kis liye daraate hain ye kaisa jashn manate hain gulistan wale gulon ko todte hain aashiyan jalate hain zamane wale samajhte hain hum ko diwana tumhaare husn ke jis waqt git gate hain teri nigah mein saqi ye kaisa jadu hai ki be-piye hi qadam dagmagae jate hain jo teri bazm-e-tarab mein kabhi guzare the wo lamhe ab bhi hamein roz yaad aate hain hamare ashkon ki tabish pe hai nazar shayad jabhi to sham se tare bhi jhilmilate hain wo kya banaenge bigda nasib ai 'kashfi' jo mere haal-e-pareshan pe muskuraate hain