wo ek pal ko mujhe itna sach laga tha ki bas wo hadisa tha magar aisa hadisa tha ki bas wo pahle pahle mila tha to yun saja tha ki bas phir us ke baad to aisa ujad gaya tha ki bas main apne ganw ke diwar-o-dar pe kya likhta wahan to aisa andhera chuna hua tha ki bas wo ek aam sa lahja tha bhige mausam ka nigah-o-dil mein magar yun utar gaya tha ki bas bas ek mod talak ham-safar dilase the phir us ke baad to wo sakht marhala tha ki bas gharib tut na jata to aur kya karta tamam umr zamane se yun lada tha ki bas na aa saka wo mere ghar to kya hua 'nazim' ki rasta bhi to aisa ghumaw ka tha ki bas