jab apne pairahan se khushbu tumhaari aai ghabra ke bhul baithe hum shikwa-e-judai fitrat ko zid hai shayad duniya-e-rang-o-bu se kanton ki umr aakhir kaliyon ne kyun na pai allah kya hua hai zom-e-khud-etamadi kuchh log de rahe hain haalat ki duhai ghunchon ke dil bajae khilne ke shaq hue hain ab ke baras na jaane kaisi bahaar aai is zindagi ka ab tum jo chaho nam rakh do jo zindagi tumhaare jaane ke baad aai