payam-e-ashti ek dhong dosti ka tha mila wo hans ke taqaza ye dushmani ka tha khada kinare pe main apni thah kya pata ki ye moamla irfan-o-agahi ka tha main us ke samne ghairon se baat karta raha agarche sauda mere sar mein bas usi ka tha kai imaraton ko apna ghar samajh ke jiya mere makan mein fuqdan raushni ka tha jo sath lae the ghar se wo kho gaya hai kahin irada warna hamara bhi wapsi ka tha