jab arsh pe dam todne lagti hain duaen deta hai rag-e-jaan se mujhe koi sadaen phir sarmad-o-mansur ka aata hai zamana ab ahl-e-chaman gul ki jagah dar ugaen us tishna ki barsat mein kya pyas bujhegi kashmir ke barfab jise aag lagaen yun apni dua sun ke chahak utthe farishte jis tarah sukhan-fahm koi misra uthaen allah-re wo sarshaar gunahgar jo apni be-sakhta laghzish pe khuda ko bhi rijhaen