sahil pe ab charagh farozan hue to kya gharqab hum ko kar ke ye saman hue to kya be-rang-o-bu hai daman-e-ahl-e-chaman abhi qatre lahu ke sarf-e-bahaaran hue to kya be-kar hai bahaar jo aae na waqt par gar mere baad aish ke saman hue to kya hum but-kade mein rah ke bhi iman-parast hain waiz haram mein rah ke musalman hue to kya gar la-ilaj ho gaya dard-e-dil-e-figar phir chaarasaz mail-e-darman hue to kya mathe pe to kalank ka tika hai aaj tak hum ko mita ke log numayan hue to kya khwabida ab bhi nazren hain be-his hai ab bhi dil na aashna-e-soz ghazal-khwan hue to kya daman se khun dil ko banana tha rashk-e-gul minnat-kash-e-bahaar-e-gulistan hue to kya 'kashfi' mita sake na magar zulmat-e-nasib aansu hamare zinat-e-mizhgan hue to kya