jab badhenge ba-qasd-e-yakjai hum jabhi ban sakenge ikkai raushni ja chhupi hai aankhon mein tirgi qalb mein utar aai aap se kaun mangta hai jawab karte rahiye qayas-arai aaj had se siwa hai bechaini uf re ehsas-e-dard-e-tanhai umr bhar mod mod sath diya ai khud-agah yaad-e-ruswai yaad hai khizr-e-waqt jab hum ko har sada thi sada-e-shahnai log sochenge tujh ko tere baad nap har zakhm-e-dil ki gahrai ab kahan tujh ko dhundne jaen ho chuki hum se arsh-paimai jaane kyon ye khayal aata hai tum tamasha ho hum tamashai jaise aawara-gard hum hain 'shamim' hain usi tarah aap sahrai