jab bayan karoge tum hum bayan mein niklenge hum hi dastan ban kar dastan mein niklenge ishq ho mohabbat ho pyar ho ki chahat ho hum to har samundar ke darmiyan mein niklenge raat ka andhera hi raat mein nahin hota chand aur sitare bhi aasman mein niklenge dekh to kabhi shab ko karwan sitaron ka nur ke kai mahmil kahkashan mein niklenge boliyan zamane ki mukhtalif to hoti hain lafz pyar ke lekin har zaban mein niklenge kat kar badan sara qash qash mein jhanken aap ke hayule hi qalb-o-jaan mein niklenge khak ka samundar bhi kya ajab samundar hai is jahan mein dubenge us jahan mein niklenge qissa-e-sukhan-goi jab 'adim' aaega hum bhi waqia ban kar dastan mein niklenge sirf sabz patte hi ped par nahin hote kuchh na kuchh parinde bhi aashiyan mein niklenge