jo diya tu ne hamein wo surat-e-zar rakh liya tu ne patthar de diya to hum ne patthar rakh liya siskiyon ne chaar sau dekha koi dhaaras na thi ek tanhai thi us ki god mein sar rakh liya ghut gaya tahzib ke gumbad mein har khwahish ka dam jangalon ka mor hum ne ghar ke andar rakh liya mere baalon pe saja di garm sahraon ki dhul apni aankhon ke liye us ne samundar rakh liya darz tak se ab na phutegi tamanna ki phuwar chashma-e-khwahish pe hum ne dil ka patthar rakh liya wo jo ud kar ja chuka hai dur mere hath se us ki ek bichhdi nishani taq mein par rakh liya did ki jholi kahin khali na rah jae 'adim' hum ne aankhon mein tere jaane ka manzar rakh liya phenk den galiyan birun-e-sahn sab is ne 'adim' ghar ki jo manga tha main ne wo pas-e-dar rakh liya