jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai gham ki taswir mere zehn pe lahrai hai is qadar charcha hai kuchh aamad-e-fasl-e-gul ka khar ko khar na kahne hi mein danai hai ban gai khar sar-e-shakh kali wo ek din phul banne ki tamanna mein jo murjhai hai aankh ne dekha nahin ek bhi gul khanda-ba-lab sirf kanon ne suna hai ki bahaar aai hai din to sayon ke taaqub mein guzara lekin phir wahi raat wahi main wahi tanhai hai jab tha main garm-e-safar sayon se katraata tha thak gaya hun to mujhe shoalon pe nind aai hai go main begana hun khud zat se apni 'simab' meri fitrat mein magar anjuman-arai hai