kis taraf se aa rahi hain dard ki purwaiyan aag si dene lagi hain bhigti angnaiyan main kahan tha jab farishton ne khushi insan ko di kyun mere hisse mein aaen sirf ashk-araiyan ye shabab-o-husn tera aur ye naz-o-ada tutti hain donon hathon se teri angdaiyan main kahan ja kar chhupun ai gardish-e-dauran bata dhund leti hain mujhe har-ja meri ruswaiyan ek shikasta saz hai aur ek sada-e-dard-e-dil hum hain tum ho bekasi hai gham hai aur tanhaiyan mujh ko chaara do dawa mat de main ji kar kya karun ye dua kar mujh ko das len maut ki parchhaiyan hum ne kya socha tha aur 'simab' ye kya ho gaya bajte bajte ruk gain kyun sab ki sab shahnaiyan