jab bhi dushman ban ke is ne war kiya main ne apne lahje ko talwar kiya main ne apne phul se bachchon ki khatir kaghaz ke phulon ka karobar kiya meri mehnat ki qimat kya dega tu main ne dasht-o-sahra ko gulzar kiya main 'farhad' ya majnun kaise ban jata main shair tha main ne sab se pyar kiya us ki aankhen khwab se banne lagti hain jab bhi main ne chahat ka izhaar kiya apne pichhe aane walon ki khatir main ne har ek raste ko hamwar kiya us ke ghar ke sare log mukhalif the phir bhi 'arif' us ne mujh se pyar kiya