khwab aankhon mein nihan hai ab bhi bujh gai aag dhuan hai ab bhi wo mere pas nahin hai lekin us ke hone ka guman hai ab bhi kya bahadur koi aaya hi nahin rah mein sang-e-giran hai ab bhi koi pyasa hi nahin hai warna chashma-e-shauq rawan hai ab bhi ghar ko kandhe pe liye phirta hun mujh mein ye tab-o-tawan hai ab bhi main talluq se pare hun lekin mujh se wabasta jahan hai ab bhi