jab bhi hui tamir-e-nasheman barq-e-tapan tak baat gai

jab bhi hui tamir-e-nasheman barq-e-tapan tak baat gai
aag lagi jab shakh-e-chaman mein apne makan tak baat gai

zikr-e-lab-o-rukhsar se aksar tut gaya gulchin ka bharam
baat chali thi ghuncha-o-gul ki aur khizan tak baat gai

un ke gunah-o-jurm-o-khata par qad-awar khamosh rahe
hum se zara si chuk hui to khurd-o-kalan tak baat gai

kaisi wafaen kaisa wada kis kis par ilzam dharen
zikr chhida jab shahr-e-sitam ka ku-e-butan tak baat gai

mah-rukhon mein charcha tha kal us ki jabin-e-raushan ka
arz-o-sama se bahar nikli kahkashan tak baat gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close