jab bhi jalegi shama to parwana aaega diwana le ke jaan ka nazrana aaega tujh ko bhula ke lunga main khud se bhi intiqam jab mere hath mein koi paimana aaega aasan kis qadar hai samajh lo mera pata basti ke baad pahla jo virana aaega us ki gali mein sar ki bhi lazim hai ehtiyat patthar utha ke hath mein diwana aaega 'nasir' jo pattharon se nawaza gaya hun main marne ke baad phulon ka nazrana aaega