jab bhi kamre mein kuchh hawa aai main ne jaana wahi sada aai zehn jis ko uthae phirta tha aankh us ko kahin ganwa aai shakh tuti to ek sada nikli sare jangal ko jo jaga aai jab darakhton se jhad gae patte bojh lade hue hawa aai mere ghar mein tadap rahi hai raat khwab jaane kahan luta aai