jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi puchhta phirta hai meri bhi sada hai koi rah ki dhul mein duba hua aa pahunchega apne mazi ka pata lene gaya hai koi raat ke sae mein ek ujde hue aangan mein be-sada thunth ke manind khada hai koi jab bhi ghabra ke tujhe deta hun ek aadh sada log kahte hain ki is ghar mein bala hai koi main wo chitthi hun mita jata hai jis ka har harf padh ke ek bar mujhe bhul gaya hai koi aasman raat darakhton ke qarib aaya tha puchhta phirta tha kya un mein chhupa hai koi tum yunhi waqt ganwane pe tule ho 'abid' kabhi pani pe bhala naqsh bana hai koi