jab bhi kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya

jab bhi kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
dil par padi wo chot khuda yaad aa gaya

jab bhi salib-o-dar ka qissa hua bayan
shahr-e-sitam ka mard-e-wafa yaad aa gaya

muddat ke baad un se mulaqat kya hui
ek ek harf khud ka likha yaad aa gaya

kyon chashm-e-nam hain aap meri samt dekh kar
kya rafta-rafta bujhta diya yaad aa gaya

bazm-e-sukhan mein jab bhi chali fikr-o-fan ki baat
nami ke sath sath huma yaad aa gaya

us paikar-e-jamal ke aate hi bazm mein
kaisa hua tha hashr bapa yaad aa gaya

main bhul kar bhi bhul na paya wo hadse
mar-mar ke kaise jina pada yaad aa gaya

dushwari-e-hayat se jab bhi mili najat
man ka shafiq dast-e-dua yaad aa gaya

chhedi hai 'shauq' mithe tarannum mein kya ghazal
ek shakhs mujh ko shirin-nawa yaad aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close