apne haalat ki un tak na khabar jaane de ab to jo dil pe guzarti hai guzar jaane de zindagi tu ne mujhe chain se jine na diya ab jo aaram se marta hun to mar jaane de tujh pe ho jaega ek roz masiha ka karam dard ko zabt ki manzil se guzar jaane de daur-e-hazir ka wo mansur bhi ban jaega jazba-e-dar zara aur nikhar jaane de ye tassub ki hawaen ye adawat ka ghubar aise tufan ko dabe panw guzar jaane de ek na ek roz badal jaega farsuda nizam zulf-e-giti ke zara kham to sanwar jaane de phir bataunga tujhe aalam-e-masti kya hai sabr ka mere zara jam to bhar jaane de main tere sath bahut dur nikal aaya hun zindagi ab to mujhe laut ke ghar jaane de main mohabbat hun mere dam se hai duniya mein bahaar mujh ko khushbu ki tarah 'shauq' bikhar jaane de