jab bhi mujh ko apna bachpan yaad aata hai bachpan ke ek pyar ka bachpan yaad aata hai dekh ke is munh-zor jawani ki munh-zori mujh ko is ka totla bachpan yaad aata hai aurat man thi bahan thi dadi thi nani thi kore kaghaz jaisa bachpan yaad aata hai tufani barish ghar mein sailab ka aalam thanda chulha bhuka bachpan yaad aata hai tanhai ka dukh to kam ho kisi bahane dekhen kis ka kis ka bachpan yaad aata hai shahd ke jaisi mithi boli yaad aati hai dudh ke jaisa ujla bachpan yaad aata hai bachpan ke yaron se milta rahta hun main 'qaisar' mujh ko sab ka bachpan yaad aata hai