itni qimat-e-sham-e-safar dun ye nahin hoga apne charagh ko khud gul kar dun ye nahin hoga ab to meri kul tauqir shajar hai aadha barq ko ye aadha bhi shajar dun ye nahin hoga hijr ko pas-andaza kiya hai mausam mausam umr ki mehnat ghaarat kar dun ye nahin hoga jaun jo us ke dar par daman-e-jaan phailae wo patthar de aur main sar dun ye nahin hoga sach ki dhun mein chahe sansen hi ruk jaen saz ko jhute soz se bhar dun ye nahin hoga kam-zau lafz ko surat bhi dun mitti bhi dun khud-rau lafz ko zer-o-zabar dun ye nahin hoga mantiq-e-asr saliqa-e-harf-e-haq kya jaane wahshi ke qabze mein tabar dun ye nahin hoga meri ek ek shakh hai fazl-o-adal ki mizan chhanw udhar dun dhup idhar dun ye nahin hoga