jab bhi tanhai kabhi hoti hai hasil mujhko

jab bhi tanhai kabhi hoti hai hasil mujh ko
waqt rakh deta hai mere hi muqabil mujh ko

aakhiri umr ki uftad gai taba ki khair
ras aata hai alam-zar na mahfil mujh ko

ek bar aur main ji paun to shayad hal hon
zindagani ne diye aise masail mujh ko

ishq itna bhi hai kafi ki tujhe chahta hun
itna hasil hai to kya kuchh nahin hasil mujh ko

jab bahaar aai tawanai bhi wapas aai
qaid mein rakh na sake band-o-salasil mujh ko

itni unchai se to meri zabun-haali dekh
jitni duri se nazar aata hai sahil mujh ko

mujh ko mazur banati hai meri kam-yabi
nazar aata hai kharidar na sail mujh ko

main tere lutf se nadim hun magar arz hai ye
ab samundar se banana nahin sahil mujh ko

main ne kashkol jo hathon mein liya to 'abid'
sari duniya nazar aane lagi sail mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close