jaane kis samt ko bhatka saya dhup kahne lagi saya! saya! koi sarnama hamara likkhe rakhsh par hum to piyaada saya sar-e-be-maghz ke auham to dekh jism apna hai paraya saya ye adawat hai hiqarat to nahin un ki dastar se rutha saya baz auqat to aisa bhi hua chhin gaya hum se hamara saya ab to eajaz hai jina 'abid' sae ka ho bhi bhala kya saya