jab bhi wo milne ka wada karta hai dil mera zoron se dhadka karta hai jo kuchh bhi hum niche wale karte hain sab kuchh upar wala dekha karta hai mali key qismat bhi kaisi qismat hai ghairon ke pedon ko sincha karta hai bahar sab se hans kar milta julta hai lekin ghar mein aa kar jhagda karta hai har bachche ko shabashi deta hai wo bas apne bachchon par ghussa karta hai sach bolun to mujh ko aisa lagta hai mera saya mera pichha karta hai sunte hain wo aane jaane walon se bas mere bare mein puchha karta hai kewal meri ghalati ho to manun bhi wo bhi to mud mud kar dekha karta hai hum bhi us se aisi masti karte hain jaisi masti sui se dhaga karta hai