kah bhi dun haal-e-dil agar shayad un pe ho jae kuchh asar shayad ab zamana hai bewafai ka sikh len hum bhi ye hunar shayad baad muddat ke ye khayal aaya ras aaya nahin safar shayad hum hi ab tak samajh nahin pae kuchh to kahti hai wo nazar shayad waise to fasla nahin koi kashmakash hai agar magar shayad har nazare mein us ka hi jalwa tum ko aata nahin nazar shayad ajnabi ajnabi se chehre hain ye nahin hai mera nagar shayad nind tari hai aasmanon par ya dua mein nahin asar shayad ab koi aarzu nahin baqi khatm hota hai ye safar shayad mauj-dar-mauj ek nashsha tha ab wo dariya gaya utar shayad zindagi ab tujhe sanware kya koshishen sari be-asar shayad ek jahan ajnabi raha 'amita' ek jahan mujh se ba-khabar shayad