jab chaha khud ko shad ya nashad kar liya apne liye fareb sa ijad kar liya kya sochna ki shauq ka anjam kya hua jab ikhtiyar pesha-e-farhad kar liya khud se chhupa ke khud ko zamane ke khauf se hum ne to apne aap ko barbaad kar liya tha ishq ka hawala naya hum ne is liye mazmun-e-dil ko phir se taba-zad kar liya yun bhi panah-e-saya kadi dhup mein mili aankhen jhukain aur tujhe yaad kar liya aaya naya shuur nai uljhanon ke sath samjhe the hum ki zehn ko aazad kar liya bas ki imam-e-asr ka farman tha yahi munh hum ne su-e-qibla-e-azdad kar liya