rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain

rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain
chand se mukhde rashk-e-ghazalan sab jaane pahchane hain

tanhai si tanhai hai kaise kahen kaise samjhaen
chashm o lab-o-rukhsar ki tah mein ruhon ke virane hain

uf ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja thahren jaen kahan
sehn-e-chaman mein phul khile hain sahra mein diwane hain

hum ko sahaare kya ras aaen apna sahaara hain hum aap
khud hi sahra khud hi diwane sham-e-nafas parwane hain

bil-akhir thak haar ke yaro hum ne bhi taslim kiya
apni zat se ishq hai sachcha baqi sab afsane hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close