jab chhai ghata lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya un hathon ki mehndi yaad aai un aankhon ka kajal yaad aaya sau tarah se khud ko bahla kar hum jis ko bhulae baithe the kal raat achanak jaane kyun wo hum ko musalsal yaad aaya tanhai ke sae bazm mein bhi pahlu se juda jab ho na sake jo umr kisi ke sath kati us umr ka pal pal yaad aaya jo zist ke tapte sahra par bhule se kabhi barsa bhi nahin har mod pe har ek manzil par phir kyun wahi baadal yaad aaya hum zud-faramoshi ke liye badnam bahut hain phir bhi 'bashar' jab jab bhi chali madmati pawan udta hua aanchal yaad aaya