jab dant khol kar lab-e-sahil wo hans paDe

jab dant khol kar lab-e-sahil wo hans pade
dariya mein mare sharm ke gauhar palat gaya

hum samjhe bazm-e-baada mein gardish nasib ki
munh tak hamare aa ke jo saghar palat gaya

us jaan-e-jaan ne ghair ki jaanib jo rukh kiya
sine mein dil mera bhi barabar palat gaya

kuche se zulf-e-yar ke mahrum main phira
zulmat mein nasib-e-sikandar palat gaya

daulat-kade mein wo shah-e-khuban na jab mila
de kar duaen us ka qalandar palat gaya

wo bad-nasib hun mere bahkane ke liye
manind-e-ghol rah mein rahbar palat gaya

main zahr-e-ishq-e-zulf se 'shaida' bachunga kya
mujh ko ye sanp kat ke yaksar palat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close