jab dard ki shaMein jalti hain ehsas ke nazuk sine mein

jab dard ki shamen jalti hain ehsas ke nazuk sine mein
ek husn sa shamil hota hai phir tanha tanha jine mein

kuchh lutf ki garmi ki khatir kuchh jaan-e-wafa ke sadqe mein
gesu-e-alam ke sae mein rahat si mili hai pine mein

aaghosh-e-tamanna chhu aaen jab zulf-e-yar ki khushbu mein
aankhon mein sawan lahraya dipak sa sulga sine mein

mausiqi-e-husn ki maujen thi kuchh aankhon mein kuchh pyalon mein
jo sahil-e-dil tak ho aaen yaadon ke ek safine mein

palkon mein sulagte taron se main raat ki afshan chun na saka
shoalon ko chhupae phirta hun main dil ke ek nagine mein

wo rang-e-haya ehsas-e-tarab aaina-e-rukh ke aks-fagan
ek tabish tere chehre ki ek aanch si mere sine mein

kaliyon ne ghunghat sarkae shabnam ne moti rol diye
lazzat si mili hai ashkon se ye chaak jigar ka sine mein

naghmon ki chandni chhitki hai sheron ke shabistan mahke hain
phir saz-e-ghazal le aaya hun ek lutf hai aksar jine mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close