khud ko murshid man le pyare kyun aur kya ka bhed samajh apni surat takta rah aur phir kaisa ka bhed samajh tujh se badh kar dasht nahin hai tujh se badh kar gor nahin is jangal mein aa us gor mein rah maula ka bhed samajh jaanne wale manne walon se afzal hai dhyan rahe majnun mat ban hosh mein rah aur phir laila ka bhed samajh pani sar se upar chadhne de sanson ki mala phir do jaan hota main baith aur dil dariya ka bhed samajh har iqrar se pahle ek inkar ki hifazat hoti hai allah ke bande allah se pahle la ka bhed samajh