jab dast-basta ki nahin uqda-kusha namaz

jab dast-basta ki nahin uqda-kusha namaz
kategi meri panw ki zanjir kya namaz

bandon ka to ye haal hai leti nahin salam
kyun kar kahun qubul karega khuda namaz

bu-e-riya har ek gul-e-boriya mein hai
duniya ki ghar ka farsh hai zahid ki ja-namaz

roza hamari faqa-kashi ka namuna hai
apni farotani ka hi ek partawa namaz

fariyaad kar raha hun do-waqti azan nahin
taklif mujh ko deti hain subh-o-masa namaz

mina-e-mai imam ho mamum rind hon
hasrat hai panch waqt ki ho yun ada namaz

sare nuqush sangi-e-gul-ha-e-bagh-e-khuld
jis boriye pe main ne padhi be-riya namaz

masti mein laghzish apni ruku-o-sujud hai
nikle jo mai-kade se to hogi qaza namaz

jate hain girte padte hue rah-e-shauq mein
kya jaanen hum tariq hai kya aur kya namaz

la-taqrabussalat isi amr par hai nahin
pi kar mai-e-ghurur na padh waiza namaz

allah de jo niyyat-e-khalis huzur-e-qalb
phir arsh sajda-gah hai kursi hai ja-namaz

har dam jihad-e-nafs mein takbir hai buland
sar par hai tegh-e-jabr magar hai bapa namaz

daman-e-tar ki lo khabar ai zahidan-e-khushk
is jama-e-najis se nahin hai rawa namaz

hai iztirab faqe mein uth baith bahr-e-qut
zahid kuja o roza kuja o kuja namaz

tir-o-kaman hain us ke qiyam-o-rukua 'bahr'
ek din udaegi hadaf-e-muddaa namaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close