umr-bhar ka yaad hai bas ek afsana mujhe main ne pahchana jise us ne na pahchana mujhe anjuman ki anjuman mujh se mukhatab ho gai aap ne dekha tha shayad be-niyazana mujhe pahle diwana kaha karte the lekin aaj-kal log kahte hain sarapa tera afsana mujhe gahe gahe zikr kar lene se kya yaad aaega yaad hi rakhna mujhe ya bhul hi jaana mujhe khwab hi dekha hai lekin hae kis lazzat ka khwab wo mere ghar tera aana aur bahlana mujhe