jab dekhiye aankhon mein kuchh ashk machalte hain ye kaise musafir hain rukte hain na chalte hain ehsas ki shiddat se kuchh ashk nikalte hain ye barf ke tukde hain garmi mein pighalte hain khamosh nigahon ko masum na samjha kar soi hui maujon mein tufan bhi palte hain is zulf ki thandak se inkar nahin lekin hum log hain diwane angaron pe chalte hain ai dekhne wale tu ji bhar ke nazara kar hum bhi tere kuche se ek bar nikalte hain tarikh-e-jahan koi likkhe bhi to kya likkhe sadiyon mein to insan ke kirdar badalte hain dekho dil-e-'taban' mein gunjaishen kitni hain is farsh pe rah kar bhi hum arsh pe chalte hain