kisi se pyar nahin sirf pyar jaisa hai

kisi se pyar nahin sirf pyar jaisa hai
khizan ke daur mein mausam bahaar jaisa hai

zarur qafila koi yahan se guzra hai
tamam rah mein gard-o-ghubar jaisa hai

tumhaare pyar ka jadu abhi nahin tuta
na jaane kis liye ek eatibar jaisa hai

padi hai sab ko yahan aabru bachane ki
har ek chehra yahan qarz-dar jaisa hai

shanakht kam hui jati hai aadamiyyat ki
har ek zehn pe gard-o-ghubar jaisa hai

ye waqt wo hai ki apne dayar mein 'taban'
har ek shakhs gharib-ud-dayar jaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close