jab dhyan mein wo chand sa paikar utar gaya tarik shab ke sine mein khanjar utar gaya jab sab pe band the meri aankhon ke raste phir kaise koi jism ke andar utar gaya sahil pe dar gaya tha main lahron ko dekh kar jab ghota-zan hua to samundar utar gaya ek bhi lakir hath pe baqi nahin rahi dast-e-talab se naqsh-e-muqaddar utar gaya wo aaine ke samne kya runuma hue sada waraq ke rang ka manzar utar gaya chehre ki tez dhaar bhi bekar ho gai jab chashm-e-ab-dar se jauhar utar gaya kis darja dil-fareb thi dane ki shakl bhi panchhi hare shajar se zamin par utar gaya