chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun jaisi karni waisi bharni ab is par pachhtao kyun surkh hain aankhen zard hai chehra rangon ki tartib ajib is be-rang zamane ko tum aise rang dikhao kyun dil ka dar kab band hua hai koi aae koi jae jo aae aur kabhi na jae wo mehman bulao kyun subh ka bhula sham ko wapas ghar aae to ghanimat hai jin galiyon mein ja ke na lauto un galiyon mein jao kyun aas ki dor bahut nazuk thi bojh pada to tut gai tez hawaen jab chalti hon unchi pech ladao kyun sari ruten aani-jaani hain har rab ka hai apna rang rang ka dhoka khane walo apna rang udao kyun aas ka daman chhut gaya to hathon ko aazad na do apni chadar chhoti ho to panw bahut phailaw kyun pyar ki shiddat dil ki hiddat 'baqar' us ko ras nahin garm hawa ke jhonkon se us phul ko tum kumhlao kyun