jab dil ki khalish badh jati hai majbur jab insan hota hai jina jise mushkil ho jae marna use aasan hota hai aai thi jawani hum par bhi hum ne bhi bahaaren dekhi hain is daur se hum bhi guzre hain ek khwab-e-pareshan hota hai be-kar hai shikwa apnon ka be-sud shikayat ghairon ki jab waqt bura aa jata hai saya bhi gurezan hota hai main un ke sitam sab bhul gaya mujh ko to karam yaad aate hain wo sar bhi utha sakta hai kabhi jo banda-e-ehsan hota hai har-waqt ulajhte rahte hain ye hath kisi ke daman se jab hosh mujhe aa jata hai mera hi gareban hota hai har ek ko jaana padta hai duniya ke musafir khane se kuchh roz iqamat hoti hai kuchh roz ka mehman hota hai ai zahid-e-khud-bin rahmat-e-haq aaghosh mein us ko le legi jo apne gunahon par dil mein har-waqt pasheman hota hai jo dekh rahe hain sahil se ye haal bhala wo kya jaanen tufan se guzarne walon ko andaza-e-tufan hota hai ye ishq-o-wafa ki baaten hain puchhe koi 'shankar' ke dil se wo samne jab aa jate hain har sans ghazal-khwan hota hai