main ne socha tha is ajnabi shahr mein zindagi chalte-phirte guzar jaegi ye magar kya khabar thi taaqub mein hai ek nadida zanjir-e-hamsaegi ye darakhton ke sae jo chup-chap hain hum mohabbat-zadon ke ye hamraaz hain ab yahin dekhna raat pichhle pahar do dhadakte dilon ki sada aaegi gham ka suraj dhala dard ka chand bhi bujh chale aansuon ke diye aaj bhi aur isi soch mein ab sahar aaegi ab sahar aaegi ab sahar aaegi lakh phulon pe pahre bithate rahen lakh unchi fasilen uthate rahen jaegi su-e-gulzar jab bhi saba apni aawaz-e-zanjir-e-pa jaegi raushni shama ki khud gulu-gir hai hansna tahzib hai jalna taqdir hai wo magar qatra-e-ashk-e-shabnam jise subh ki sab se pahli kiran paegi