jab dil mein ghurur aae to danai bhi kya hai jab raat andheri ho to binai bhi kya hai jab dubna thahra hai to tufan ka kise khauf jab ashk samundar hon to gahrai bhi kya hai jab zakhm hon sine mein to phir dard hai kya chiz gulshan mein mere mauj-e-hawa lai bhi kya hai phir ghair ke har jhut pe karta hai yaqin wo phir shauq ko sakta hai ki sachchai bhi kya hai phir umr-e-gurezan ne kaha jao chale jao kya us se kahoge wahan sunwai bhi kya hai phir dil ne kaha hans ke wo sahra ho qafas ho jab us se bichhadna hai to tanhai bhi kya hai phir zikr mera sun ke kaha us ne 'rais' ek bas chaak-gareban hai wo saudai bhi kya hai