jab din chadha badan pe badan si saji qamis utri jo raat ghar mein badan raat ki qamis do-chaar sal pahle jise dhundte the wo ji chahta hai phir se pahniye wahi qamis us ka durusht lahja use is tarah phaba silky badan pe jaise saje khurduri qamis chehre pe phailta hai wahi jogiya badan aankhon mein kaundti hai wahi bekhni qamis aakhir kahan kahan se rafu kijiye ise ab to jahan-tahan se nikalne lagi qamis badli jo jagmagate hue chand par padi yaad aa gai kisi ki badan se bhari qamis ji chahta hai aaj algani ye dekhiye sari wahi saped wahi kasni qamis kis se gila karen ki gai jhol rah gae jaisi bhi mil gai hai pahniye yahi qamis