jab diya khamosh tha aur raushni hoti na thi raat kya aati thi goya zindagi hoti na thi jin dinon logon ki aankhen khwahishon se dur thin un dinon is shahr ki ye dilkashi hoti na thi apni apni raghbaton par jab talak tha ikhtiyar tere mere darmiyan ye bebasi hoti na thi un dinon ki baat hai jab hum the mitti se jude be-kali madum thi aur be-dili hoti na thi dekhte hi dekhte manzar badal kar rah gaya ye gali suni thi jab tak aap ki hoti na thi apne apne din the sab ke apni apni raat thi koi bhi shai jab nazar mein markazi hoti na thi jab dar-o-diwar aae to uthi diwar bhi ghar nahin tha to hamari be-ghari hoti na thi ishq ne jab tak junun ka rasta dekha na tha zindagi be-kaif thi tisha-gari hoti na thi is zamin ka khali-pan tha aur hawa ka shor tha un dinon ki baat hai jab shairi hoti na thi jis ki shadabi hamein le aai hai 'shahid' yahan us jazire par kabhi kya zindagi hoti na thi