amir-e-shahr ke aangan mein jab ujale hue na jaane kitne gharon ke charagh kale hue isi zamin ke khuda qabr-gah mein apni hain apni jism ki mitti pe khak dale hue tumhaari fikr ki kotah-qad haweli mein bujhe charagh to phir makdiyon ke jale hue mukhalifin ka ab shaghl ho gaya hai yahi uchhaalte hain ye jumle mere uchhaale hue ajib baat hai khud meri aastin ke sanp mujhi ko ghurte rahte hain sar nikale hue hamare shahr mein lafzon ki khetiyan hain bahut qadim log hain sare lughat khangale hue ye ahl-e-fan mein bhi kide nikal dete hain hasad ka tauq jo hain gardanon mein dale hue