jab ek bar kisi intiha pe ja thahre phir us ke baad nazar raston mein kya thahre safar pe nikle the jab zindagi giraft mein thi maal-e-kar bas ek mauja-e-hawa thahre ajab nahin hai ki barson ke ghup andhere mein diya jalaen to manzar hi dusra thahre chamak uthe kabhi aa kar meri hatheli par wahi sitara kabhi aasman pe ja thahre mufahamat ki nikalti nahin hai rah koi jab apne apne usulon pe baat aa thahre hum ek aise dorahe pe aa chuke hain ki ab qadam badhae to raste juda juda thahre main apne sans ki gathri utar lun sar se hayat-e-tez-safar se kaho zara thahre