fariyaad bhi main kar na saka be-khabari se dil khinch liya us ne kamand-e-nazari se us but ko kiya ram na soz-e-jigri se nale mere badnam hue be-asari se kab dil pe asar karta hai zalim ka tamalluq milte hain kahin zakhm-e-jigar bakhiya-gari se hai saya-fagan taza nihaal-e-chaman-e-husn nisbat mere dil ko hai aqiq-e-shajri se ud jate tere hosh mere naghmon se bulbul kar shukr ki majbur hun be-baal-o-pari se har lutf se khali hai farogh-e-dam-e-piri raushan hua ye nur charagh-e-sahari se daman ki kali baad-e-saba khol sake kab satir nahin darte hain kabhi parda-dari se ulfat ka shajar sarw-qadon ki hai hari shakh ushshaq ko bawar hua ye be-samari se kahte hain wo sun kar khabar-e-rehlat-e-ushshaq jaldi gaya kahna tha hamein kuchh safari se hon lakh khatar kucha-e-dilbar na chhutega uth sakti hai zillat bhi kahin mard-e-jari se nafrat nahin lazim tujhe zalim ewaz-e-rahm baitha hun main dil kho ke teri hila-gari se aamil karen ek bar agar band to mai-kash khali karen sau martaba shishe ko pari se kar dete hain yun harza-dara ko kamla-band lab zakhm ke jis tarah milen bakhiya-gari se aghyar hue kab meri nakaami ka bais mahrumiyan paida huin aashufta-sari se kar ghair ko apna ki muradon ka nishan de bekar wo paikan hai juda ho jo sari se aamal-e-'habib'-e-jigar-afgar ki kashti sahil pe pahunch jaegi ashkon ki tari se