jab ek khauf sa marne ka sar pe baith gaya ajib saya nahusat ka ghar pe baith gaya yahi kahani thi bas apni baadshahat ki faqir ek utha ek dar pe baith gaya kahin to shahr mein an-ban kisi ke sath hui jo duniya chhod ke sari wo ghar pe baith gaya takallufat mein kuchh to lihaz baqi tha zara si dhil bhi kya di wo sar pe baith gaya kisi ki jhuti udai hui si baat suni zamana kan laga kar khabar pe baith gaya sawar hum hue aise hawa ke kandhe par hamara panw bhi jaise safar pe baith gaya